santre khane ke fayde

sehat ke liye santre ke fayde-
                                 
1) cholesterol- santra me fibre hota hai jo hamare sharir me cholesterol control karne me madat karta hai.

2)aankh- ye ek  santre ka bahut acha fayda hai isme vitamin A hai jo hamare aankho ke liye labhkari hai.

3)kidney- ek shodh ke anusar santre ka juice roj pine se kidney me hone wali bimari ka chance bahut kam ho jata hai  yaha  tak ki kidney me hone wala cancer se bacha ja sakta hai.

4)alsar-santre me vitamin C hone ki wajah se ye bacteria se ladne me madat karta hai santa khane se pet me moujud alsar ka sankraman khatam ho jata hai.

5)agar aap ko cough ki shikayat hai to aap santra khaye ye cough ko patla kar deta hai jo asani se nikal jata hai.

6) sukhi khansi se agar pareshan hai to roj ek santra khaye 1-2 din me aram milega.

7)garbhvastha me mahilayon ko jada se jada santra ka sevan karna chahiye isse prasav ke samay kam taklif hota hai.

8) santre me moujud vitamin C skin ki sundarta ko badhata hai.

9)santre ka juice sevan karne se gathiya ke marij ko fayda hota hai.

10) agar aap sara din kaam karne ke baad thakan mehsus karte hai to ek glass santra ka jauice pine se thakan dur hoga aur sharir ko anergy milega.




Comments

Popular Posts